Dunia Me Kai Tarah Ke Invention Ho Rahe Hai Jinke Baare Me Kabhi Socha Nahi Hoga. Inme Se Ek Hai Scooter Suitcase. Yah Invention Apne Naam Ki Tarah Hee Kaam Karta Hai. Aap Is Par Baith Kar Ghum Bhi Sakte Hai Or Apna Saaman Bhi Rakh Sakte Hai. Chicago Ki Modobag Naam Ki Company Ne Ise Banaya Hai. Suitcase Scooter Ka Invention Pahle Bhi Ho Chuka Hai China Ki Sadko Par Kai Baar Logo Ko Suitcase Scooter Ki Sawari Karte Dekha Gaya Hai.
Suitcase Kahi Bhul Jaane Par Suitcase Scooter Bananae Ka Idea Aaya Ek Kisan Hai Jisne Suitcase Scooter Invention Saal 14 Kiya Tha. Unhe Is Tarah Ke Scooter Ka Idea Us Samay Aya Jab Ve Award Ke Usa Gaye The Lakin Bich Raste Me Apna Suitcase Bich Rasate Me Bhool Gaye. Jiske Baad Unke Dimag Me Aisa Scooter Banane Ka Idea Aaya Isme Hum Baith Bhi Sake Or Apna Saman Bhi Rakh Sake. Ve Aise Suitcase Banane Me Lag Gaye.
Suitcase Scooter Ke Janiye Features
Inke Banaye Gaye Scooter Suitcase Ki Maximum Speed 20 Kilometers Per Hour Hai, Is Scooter Se Kai Kilometers Ka Safar Kar Sakte Hai.
Scooter Me Rechargeable Power Full Lithium Battery Lagayi Gayi Hai Isme Handle, Gear, Brake, Light Ke Saat GPS Tracking System Bhi Diya Gaya Hai.
Chicago Ki Modobag Company Ab Aise Scooter Suitcase Bana Rahi Hai. Jisme Kai Tarah Ke Advance FEATURES Bi Diye Hai, Is Suitcase Par 118 Kilogram Tak Ke Weight Wala Vykti Baith Sakta Hai, Suitcase Ko Ek Baar Full Charge Kar Ke 8 Se 10 Kilometer Chala Sakte Hai, Battery 1 Hour Me Full Charge Ho Jaati Hai.
Suitcases Me Dual USB Port Diye Jisse Aap Apna Mobile, Tablet , Laptop Koi Bhi Device Ko Charge Kar Sakte Hai, Scooter Suitcase Ki Price Lagbhag $1,495 Hai .