Aaj kal har koi chahta hai ki use apne birthday par dher shari wish our likes mile lekin kya aap jante hai. Ki yah sab aap ko kitna nukasan pahucha sakta hai. Yaadi aap ne bhi apne facebook par apne birthday date ya fir apne kisi family ke koi jaankaari jo neeji ho our aap ne facebook par daal rakhi hai to jitni jaldi ho sake use hata dejeye .
Kuch time se yah dekha ja raha hai. Ki facebook Twitter our social networking sites par di gaye personal jaankaari our Information cyber crime ko badhawa deta hai. Our kuch saal se to Crimes badhate hi ja rahe hai. Our yah sab crimes sabse jyada facebook our social media me hi hote hai .
Cyber crime Professionals bhi personal jaankaari our photo ko facebook ya social networking sites par share nahi karne ki advice dete hai jisme apka phone Number Workplace E-mail ID our family ki jaankaari shaamil hai. to aap jitni bhi jaankaari in site par daalo ge apke cyber ke shikaar hone ki utni hi Chance bhi bada jate hai. Is liye apni birthday date hata de .