India me digital locker ki service ko Shuru kar diya gaya hai. Ab aap is ke jariye apne sabhi jaruri document ki soft copy karke isme upload kar sakte hai. Our jarurat hone par App ke jariye se hi kisi bhi vykati ko apne document dikha sakte hai.
Our Aaisi ke sath aaj ham aap ko batayege ki Kaise digital locker me apna Account khole our kaise iska used kar ke ham apne jarurat ke document ko khone ki chinta se mukt ho sakte hai .
Website : DigiLocker.gov.in
DigiLocker – Android Apps on Google Play
1.Digital Locker ko used karne ke do tarike hai. ya to apne browser se iski website par yah click kar ke chale jaye ya fir apne google play store se digital locker ki Mobile application download kar le .is App ko Open Karte hi apko sing in our sing in App ka Option dikhta hai.
2.Fir sings up karne ke liye apse apka mobile number pucha jata hai. dhyan rahe ki isme wahi mobile number dalna hai jo apne Aadhaar banwane card banwane ke time used kiya tha .
3.Our is ke baad yah OTP se apka mobile number verify kar lega .ab apko apna new user name our password dalna hoga . password ke liye dhyan rahe ki isme special characters @,#,! Aadi ka used jaruri hai. Iske baad isme apko apna Aadhaar card ke number dalne hai. is process ke baad apke mobile number par Aadhaar card ko verify karneke liye ek our OTP Aayega . our aap yah fingerprint ka object bhi use kar sakte hai.
4.Verification process pura hone ke baad apko upar ki tarah hi ek congratulations ka message milega. Ab apne diye hoye user name our password ki help se sing in kar sakte hai.
5.Sing in ke baad apko do not wale option ko select Kar not now par click karna hai. Our yah apko 2 folder milege jo pehle folder se hi mojud dikhai dege inhe aap apni jarurat ke hisaab se badal sakte hai. upar ki tarah teer jaise dikh rahe object par click karke aap apne document ko isme upload kar sakte hai. folder par bane dhan ke nishaan par click kar ke aap apni jarurat ke hisaab se folder bana sakte hai. jaise education degree, jamin ke paper or kai saare document.
6.Ab phone ki screen KO left se right ki tarah slide kar ke aap apne jaruri document our upload document dekh sakte hai. our sath hai apni profile ko dekhna our log out ke bhi Option ka used kar sakte hai.
सरकारी काम के लिए मोबाइल में जरूर रखें ये 14 Apps