Hindi hamari matrbhash hai lekin taknik ki duniya ki ab tak ki bhasha English hi rahi hai. Halaki change hone shuru Ho gaye hai. Technology company dheere – dheere hindi ke used ko badhawa de rahi hai.
Ab question uthata hai ki kya ham hindi ke used ko teyar hai. hakikat yah hai ki hamme se jyadatar log hindi boll our padh to sakte hai. Lekin use smart Device par type karke nahi likh sakte jinhe typing karke aati hai. Unke liye to yah chutkiyo ka khel hai . lekin bakiyo ke liye yah Ab bhi behad hi difficult kaam hai. Waise google ne bahut pehle hi Transliteration ki suvidha shuru kar dee hi. Lekin bahut log isse jaan nahi ho paye halaki smart phone ke used ke sath log Transliteration features se samjhne lage hai .
Hindi me likhne ke baare me koch our jaanne se pehle apko sabse pehle Transliteration ke bare me batate hai. Transliteration ek script me likhe gaye text ko dusre script me badlne ki process hai. Example ke tor par Transliteration me RAAM likgne par apko Ram mliega ya corruption likhne par Corruption .halaki Corruption ka mining Bribery hota hai. Apko safa kar de ki Transliteration anuvaad to bilkol nahi hai. Agar English me likhe shabd ka koi meaning nahi hai. To Transliteration ke baad mile output ka bhi koi meaning nahi nikalegaa .
Aaj ki date me jyadatar smart device user apni bhasha me kuch bhi likhne ke liye Transliteration features ka hi used karte hai. Agar aap Ab tak is features se anjaan hai . to aap in chunida website ka used kar sakte hai.
Google ki translate seva ka used user online ke sath offline mod me bhi kar sakte hai. Online seva ka used karne ke liye apko web page par jana hoga .apko is ke liye chrome ka extension download karna hoga , page par nichle hisse me Android our desktop ke liye is App ko download karne ka object bhi jiya gaya hai. Desktop par is App ko Install karne par Google ki transliteration seva ka used online bhi kar payege .
Windows par software Install karne ke baad apko Google input tool Active karne hai. Fir najar a rahe A ko click kare iske baad jitna man hai .likhiye our hindi me output pate rahiye .
Aap is website ki help se bhi hindi me aasani se likhe sakte hai. halaki yah system sirf user ke liye hai. Yah par hindi ke alawa user 9 our India language me output pa sakte hai. Bas page par English keyword type karte rahiye our apko man chahi Language me content milta rahega .
India typing ki website par user ke liye do kism ke object hai. Anuvad ya transliteration ke liye apko is web page par jana hoga. yah par upar diye gaye box me aap English me type kare jaise ki aap mobile me massage type karte hai our specs dabaye .apke dawara likha gaya text apke aap hindi me a jayega aap in hindi shabdo ko kahi bhi copy karke post kar sakte hai. Jaise ki Facebook Email block ya MS word par .
Is ke alawa transliteration ke liye hinkhoja our changathi jaisi website ka bhbi used kar sakte hai. Halaki hamne inhe used karne ke duran thodi dikkat aai . hamara sujhav rahega ki aap Google ki Input tool ka used kar.
Ye to Baat hoi transliteration ki aap chahe to hindi me English me likhe content translated bhi kar sakte hai. Iske liye apke pass Google ka sabse behtarin upay hai. Eske alawa aap aiematransaletara web site ka bhi used kar sakte hai. Lekin ek baat yaad rakhe ki yah anuvad hindi ke grammar ke lihaaj se bilkol sahi ho is ki sanbhawana thodi kam hai. isme me apko transliteration par bharosa kar sakte hai.