Computer par kaam karne wale log computer se judi kuch baato ko undekha kar dete hai. Jo user bhi Mac or windows operating systems ka use karte hai unke lie kuch shortcut bataye gaye hai . is shortcut ka use internt istemaal karne wale bhi kar sakte hai.
1. Ager apko apni desktop ka screenshot lena hai to aap print screen ka istemaal karte hai or apko sirf kuch hisse ka hi screenshot lena hai to start option par jaa kar Snipping Tool ka upyog kar sakte hai .
2. Is tool ko select karne ke baad apko jis hisse ka screenshot chahiye us hisse ko select kar le. Is option ko mac operating system me use karne ke liye shortcut command+shift+4 hai. Aager apko kisi image ke Resolution ki jankari chahiye to iske lie google chrome ke image me jaakar right click kare or S button press kare. Ise aap re Reverse Google search bhi bol sakte hai.
3. Apko naya tab open karna hai to iske liye mouse ke beech waale button se kisi bhi link par jaakar click kare karege to yah button apko naya tab open kar dega. Mouse ke beech waale button se aap is tab ko band bhi kar sakte hai. Aap chrome ka istemal notepad ki tarah bhi kar sakte hai. Iske liye apko chrome ke address baar me data:text/html type karna hoga.
4. PC par kaam karte samay kabhi galti se aapka tab band ho jata hai to iske lie aapko mac operating system me Command+shift+T ka istemaal kar sakte hai. Or windows me system me aap Control+shif+T command ka istemal kar sakte hai.
5. Agar apko kisi file ki copy banana hai to isle lie Ctrl key ke saath jaha bhi apko file copy karna hai waha Drag karke click kar de.
6. Agar apko apni scrren ko left right me move karana hai to aap start key ke saath arrow key ka istemaal ka sakte hai cached memory ko clear karne ke lie aap ctrl+Shift+R ke command ka use kar sakte hai