Kai log apne personal computer me refresh option ka use karte hai. Agar computer me kuch pareshani hoti hai to aap apne computer ko baar baar refresh karte hai. refresh karne ke liye right ya F5 upyog karte hai esa karne par yah computer ki ram or memory ko refresh kar deta hai yah puri tarah se galat hai.
Aap apne computer par jo desktop hai ek desktop nahi hota hai. Yah desktop ki jagah operating system ka ek folder hota hai. Ager isme kuch badlao kiya jaata hai to yah apne aap refresh ho jata hai. Kabhi kabhi desktop par kuch change dikhai nahi dete hai isliye refresh option diya jaata hai.
Computer desktop ko refresh karne par uske folder files re order ho jaate hai. System me kuch sahi nahi hone par bahut log ye socate hai ki refresh karne par yah sahi ho jayega. Ager computer dheere kaam karta hai . tab use refresh karte. To yah apni aadat bekar hai refresh karne se kuch nahi hota hai.