Aap sabhi ke pass android phone hoga sabse popular operating sytems jo hai or 5000 RS se lekar 50,000 RS tak ke mobile phone market me mil jaate hai to friends kuch aashan se tips apke saath share karte hai ho sakta hai apko pahle se pata ho.
Contents
1.Hang hona or hit (garm) hona
Kitna hi accha futures waala phone le lelijiye Hang hona or hit (garm) hona common problem hai Hang hona. Phone hang hona adhiktar RAM KE FULL ho jaane ke karan hota hai. Iske liye sabse saral upay hai apne phone me CCLEANER naam ka app install kar le dhyan rahe baaki ke ram clean karne waale app fake hote hai RAM (Random Access Memory) par load or badha dete hai yah khali folder app ki Cookies ko ekdum saaf kar deta hai
2.Internet data bachane ke upay
2G ghotale ke baad se hi mobile internet ke daam din par din badh rahe hai or post-paid connection walo ko sabse jayda problem rahti hai jab chor companiya bina warning diye apke plan ki nirdharit data limit se jayda bill de deti hai iska assan sa upay hai. Mobile setting me jaakar waha se data used ko chuniye fir set mobile data me jaakar apni billing ke anusaar din set kar dijiye. Example: airtel ki billing cycle month ke 9 tarikh se agle month ki 8 tarikh hai to set kar dijiye 9 January se 8 February or usi me jaake apne data plan ke anusar data limit bhi set kariye. Example: plan me 200 MB ka 3G Data hai to aap usme 200 MB tak graph par set kar de. Ab jese hi month me aap data ke khatm hone ke karib aate hai wese hi apko mobile bata dega.
3.Ek mobile par do number se whatsapp chalaye
Ab har mobile phone dual sim hai or whatsapp sabse common massage services hai lekin problem yah hai ki ek mobile me ek hi number par whatsapp ka account chala sakte hai. Iska bhi upaya hai yadi aap chlana chahate hai to iske lie aapko apne mobile me DISA naam ka aap install karna padega.
4. Battery low hone ki sabse badhi problam
Android phone ka battery bakup ek bhadi problem hai or baar hame nokia phones ki battery ki yaad dila deta hai safar ke doran power back na ho to aapke lie badi mushkil khdi ho sakti hai. Ase me ek app greenify apki bhot help kar sakta hai . jab hum app ka istemaal nahi karte tab bhi app background me chalte rahte hai or hamari battery ko khtam kar dete hai yah app unko band kar deta hai.