Facebook kya hai yah to hume aap logo ko batane ki koi jarurat nahi hai kiyuki ye ek Aaisi social website hai jisse har koi juda huwa hai lekin har koi yah nahi janta hai ki agar facebook par kisi ne kisi bhi prakar ki koi galat cheejo ko post kiya to aap ko kcuh saalo ke liye jel ki hawa bhi khani pad sakti hai our yahi nahi ab to kuch Aaise rule aagaye hai jiski wajah se aap facebook par hamesha ke liye block bhi ho sakte hai facebook social networking site ek Aaisi site hai jisne apni ek alag hi pahchan banaye hai our Millions me user ko apne sath joda rakha hai lekin kuch log aaj bhi facebook ka galt used karke fake ID used kar ke kai logo ko pareshan karte hai our Aaisi liye facebook par kai rule Present kiye hai aaj hum aap logo ko bataye gi ki Aaise kaun se kaam hi jinhe karne se facebook aap ko kar sakta hai hamesha ke liye block to aaye jante hai kya hai wo kaam.
Agar aap ne facebook par ye kaam kiye to ho sakte hai block
Hate Speech Posting
Agar aap kisi bhi tarah ki koi Community, jaati dharm ke prti kisi bhi tarah ki koi galt tarah ki photo yah article post kiya to aap facebook Policy koi bhang kar rahe hai to is ke liye facebook aap ko hamesha ke liye block bhi kar sakta hai.
1.18 year ke niche walo ki photo
Is ka matlab yah ki agar apne kisi bhi 18 year ke niche ke logo ki Sexual photo ya ashlil cheeje bhi dikhana hai chahe wo phir funny photo hi kyo na ho Aaisa karna bhi facebook policy ke rule ke Against hai our Aaisa karne se aap block bhi ho sakte hai.
2.Jarurat se jyada massage
Yadi aap ek hi time par bahut se logo ko massage kar dete hai our we log apke massages ko unwelcome mark par daal dete hai to aap facebook me block bhi ho sakte hai is lye hamesha hi ek hi time me simit logo ko hi massage kare.
3.200 se jyada group join na kare
Facebook apni policy ke rule ke anurup kisi bhi user ko sirf 200 group join karne ki hi Permission deta hai our agar aap ne phir bhi 200 se jyada group join kar liye hai to aap ko facebook block kar dega.
4.Jyada poke karne par
Aap logo ko facebook par poke ke option ke bare me to pata hi hoga lekin agar aap ne kisi vyakti ko baar-baarpoke karke pareshan kar rahe hai to facebook aap ko Automatic hi block kar de ga is liye apne kisi ko bhi jyada se jyaya poke na kare.
Facebook Account से इस तरह हटाएं Third Party Linked Apps
Facebook Page क्या है और कैसे बनाना चाहिए
क्या आप भी Facebook Account के Block होने से हैं परेशान? तो आज ही बंद कर दें ये 6 काम
Facebook को कहाँ और कब यूज किया ऐसे करे पता