Aaj ki duniya me har koi sharing kar ne me hi Busy rahata hai. Hum Kabhi phone to kabhi computer ki screen se cheepke rahte hai. Our facebook page Twitter Feed our hamari Blog ke Jariye se ham hamra Jivan likh rahe hai. Ise our ham is me Photos, Videos, like ke jariye se ek dusre se jude hoye hai. Hamare dost our Kuch Aise dost jinhe hamne kabhi dekha bhi nahi hoga lekin fir bhi ham unhe hamari sare baati share kar lete hai. Our hame is baat se bhi koi fark nahi padta hai ki we duniya me kaha hai.
Facebook feed un logo se bhara pada hai. Jo apne Experience, Lifestyle liye our apne ichchho ko share karna chahte hai Agar aap facebook par apna Status Update nahi kar rahe hai our Aap photo upload kar rahe hai. Yaa Kuch our share kar rahe hai. Facebook par ham kai baar ham Private baate share kar dete hai. Jinhe ham Aam tor par kisi ke sath share nahi karte hai.
Hame lagta hai. Ki jab hamari Privacy Settings sahi tarah se set hai. Our ham apne friend ke bhitar ham Secure hai. Lekin problem yah hai ki hame kabhi pata nahi hota ki vastav me hamari jaankaari kon dekh raha hai. Isi karan se isse pehle ki aap kisi bhi tarah ki koi baat yaa fir koi photo share kare to apko is baat ka jarur dhyan rakhe ki aap jo bhi post karne ja rahe hai. Use na keble apko Nukasan ho blki dusro ko chot na lage our Kuch ise hi cheeje hai .jine aap ko post nahi karna chahiye .
Contents
Apki ya apke pariwaar ke kisi bhi Member ke Birth date.
Ham sab ko apne facebook wallpaper par hamare friend se happy birthday bahut Aacha lagata hai. Ki Logo ne hame yaad kiya our hame khaas din par wish bhi kiya problem yah hai. Ki jab aap apna pura Birthday facebook par dalte ho tab yah apki vykati ki pahachan chori karne ke liye choro ko Awsar milta hai. Isi liye yahi behtar hai. Ki aap apni birthday puri naa kam se kam saal to na likhe .
Apki location ke bare me jaankaari..
Ise kai logo hai jinhe facebook ki location Trending features se bahut pyar hai. Jo unhe apne facebook friend ko yah jaanne ki Anumathi deta hai. To choro ko yah janaja Aasan hoga ki aap vastav me kitne time bahar rahne wale hai. Our unhe chori karne ke liye kitna time hai. Meri salaaha ki har time apne location ki jaankaari facebook par naa de .
Apne ghar ka pata
News ne bataya ki 40% log ne apne ghar ka pata social media site par Listed kiya hai. Our un me se 65% logo ne facebook ki Privacy Settings me unki jaankaari ko dekhne se ajanabiyon ko
Block nahi kiya hai. Is ke alawa ek choikane wale sach samene aaya hai. Ki 60% logo ne yah bhi kaha ki facebook par unke friend list me jyadatar ese hai. Jo unke karibi rishte daar nahi hai .social media site ke user ki pachaan ki chori Gair social user ki tulna me Adhik hai.
Apne baccho ki jaankaari .
Adhikansh mata –pita ko apne baccho par hota hai. Our facebook our is liye facebook par unke baccho ke photo dikhane ki unki chahat Natural hai lekin jyadatar logo bina soche baccho ke secede tag photo our video ko post karte rahte hai. Agar aap apne baccho ki sifti chahate hai. To Agar apne apni profile Ristrikt nahi ki to apke baccho ke photo ke photo tag yaa post nahi karna chahiya .yah ek Dukhad sacchaai hai.
Shayad 100% me se 99% mata-pita apne baccho ka pura name our birthday ka time our date post karte hai. Agar apko apne baccho ki photo post karni hai. To kam se kam unka pura name our birthday to cheepa sakte hai.
Apne kaam ke baare me shikaayate .
Office ke sabse neerasha ke dino ke baad bhi yah bhi ek Aacha vichar nahi hai. Ki apne kaam ke baare me social Networking site par shikaayat ki jaye .is se aap musibat me aa sakte hai. Our aap par Employer dawara kaarvai ho sakti .
Apka Relationship Status
Chahe aap kisi Relationship me hi yaa na ho sabse Aacha yahi hai. Ki Rishto ko Public na kare .apka bura chahne walo ko is baat ka pata chal jata hai. Ki aap fir se single ban gaye hai. Our we is baat ka khyaal rakhege ki aap fir se kisi ke sath Relationship na bana paye is ke sath hi is baat ka pata chal jata hai. Ki abhi aap ghar par Akele ho kiyuki Ab apke Aass-pass koi nahi hai. Yah choro ke liye suwidha deta hai. Isi liye apne profile par ise khali chod de.
Aage Aane Wale Article Me Janiye Social Media Par Kiss Tarah Setting Kar Sakte Hai .
अपने Social Media Account को हैक करने से कैसे सुरक्षित रखें