Micro-Blogging Social Media website Twitter par Ab apki profile bhi verify ho sakti hai. Is se pehle tak Account verify karane ke liye Aaveden nahi karna hota thaa Twitter jane mane logo our Organizations ka Twitter headless verify karta tha.
Company ne yah Declare bhi kar diya hai. Ki Ab Twitter user apni profile ko Bhi verify karne ke liye Aavedan kar sakte hai. Our ese verify karne ke liye aap ek online form bharna hoga yah verification do tarah ka hoga ek personal our dusra company ka.
Halaaki esa nahi hai ki kisi bhi user Twitter ka Account verify ho hi jayega kiyuki company dawara jari kiye gaye online form me apko 500 Words me yah batana hai. Ki Twitter apka profile kiyu verify kare is ke Alawa yaha kam se kam do ese Link dene hoge jisse Twitter apko pahachan sake .yaani apki Jankari ho A apko apni company ka Account verify karna hai. To is ke liye bhi esa hi karna hoga is ke liye Twitter ne Kuch Guidelines jari kiye hai. Us Guidelines par khare utarne wale profile verify ho sakte hai.
Duniya bhar me Twitter ke 310 Million se jyada Monthly Active user hai. In me se sirf 1 lakh 87 Thousand verified Twitter Account hai. Filhaal yah saaf nahi hai. Ki company ne is process ko cafi logo ke liye kiyu shuru kiya hai. Lekin guidelines se yah bhi pata chalta hai . ki abhi Twitter public Brand, journalists, politicians, sports person, business personal our high profile logo ke hi Account verify karegaa .
Twitter पर कैसे मिलेगा Blue Tick, जानिए नया Verification Process
nice post Bro thunks For Share this Article 😄